Kharish, Khujli Aur Allergy Ka Desi Aur Rohani Ilaj

Kharish, Khujli Aur Allergy Ka Desi Aur Rohani Ilaj
Kharish, Khujli Aur Allergy Ka Desi Aur Rohani Ilaj

Khujli aik aam marz hai lekin aaj hum aap ko khujli khatam karney k totay, rohani ilaj aur desi ilaj batain ge. Ye ilaj na sirf khujli k lehe hain balky in se har taray ki skin allergy k b treatment ho sakti ha. Jism main Kharish Ya Khujli hone ke kayi wajuhat ho saktain hain. Medical ki zuban mein khujli ko ‘Pruritus’ kehte hain. Kharish k sab se bari waja skin allergy ha.

Kharish ki aur wajuhat main skin cell ka dead hona, Dhoop main zida dair tak rehna, skin disease such as scabies, Diabetes Thyroid, anemia shamil hain.  Sardiyon k season main ye marz bar jata ha jis ki sab se bari waja jild ka rookha hona aur garm kapro ka istimal ha. 

Kharish, Khujli Aur Allergy Ka Desi Ilaj

1.  Banana main Magnesium aur Vitamin C boht ziad hota hai is lehey Banana ka istimal kharish katam karney main helpful hota ha.

2. Vegetable k istamal se humare jism mein antioxidant ka level bar jata ha. Jo ke kharish ke beemari main bouth helpful hota ha.

3. Garmion k season main thhode neem garm pani se nahaye se kharish kham ho jati ha.

4.  Allergy aur kharish se nijat k lehey 1 glass pani main 2 tab sp sharbat-nilofar mila kar pi liya karen.1 glass subha nehar moo aur 1 glass sham jab pet khali ho yani 5 ya 6 baje tak pi liya karen.

5.  Har qisim ki Kharish, Khujli aur Allergy se nijat k lehay Neem ke patton ko pani main ubaalen aur is pani se naha lain.

6.  Naryal ke tail main Lemon ka ras daal kar lagane se bhi kharish khatam ho jati he.

7.  Fori kharish khatam karne ke liye Naryal ke tail main Kaafoor ko pees kar milaen aur jahan kharish he wahan lagaen kuch he dair main kharish se aram aa jaey ga.

8.  Ajwain pees kar kharish wali jagah par lagane se b kharish main fori aram aa jata ha.

9.  Kali Mirch pees kar gaey ke doodh ke sath istemal karne se kharish khatam ho jati ha.

10. Lehsan ko tail main ubaal kar kharish ki jagah par maalish karne se kharish khatam ho jati ha.

11. Zeera ko pani main boil kar k is pani se nahaen se kharish khatam ho jati he.

Kharish, Khujli Aur Allergy Ka Desi Totkay

Kharish, Khujli Aur Allergy Ka Desi Totkay

Face Allergy Khatam Karne Ke Liye Totka

Agar face par kharish he to Mooli ka ras nikaal lain aur ise face par lotion ki tarah lagain. Khushk hone par dhoo lain. Face allergy k lehay Mooli ka ras ubtan maom mila kar bhi istemal kar sakte hen.

 Jism Ki Kharish Khatam Karne Ke Liye Totka

 Nahane k baad geele jism par sarson ke tail main chand qatre pani main mila kar achi tarah poore jism par malish karney se Khujli, Kharish aur skin Allergy katam ho jati ha.

 Kharish Aur Khujli Door Karne Ki Dua

Wuzu ki halat mein rehte huye. Rozana subah sham Surah Mominoon  Ayat # 14 ko 21 martaba pani par dam kar ke peena hai. Yeh amal 41 din rozana karma ha. Insha ALLAH 41 din ke andar hi is beemari se shifa hasil ho jayegi Ameen.

Kharish Aur Khujli Door Karne Ki Dua

Kharish, Khujli Aur Allergy ki Dua

Sayedina Hazrat Ja’afarn (R.A) ne farmaya ke subha sham 7, 7 martaba Surah Qadar pani par dam kar ke pilane se kharish main boht faida hoga.

Kharish, Khujli Aur Allergy ki Dua

Search Meta Tags

Kharish, Khujli Aur Allergy Ka Desi Ilaj-Kharish aur Allergy ki Dua aur Elaj in Urdu-Badan kharish khatam karne ke liye gharelu ilaj-Kharish ka elaj-kharish ka desi ilaj-kharish ka ilaj urdu-khushki ka ilaj-khujli ka ayurvedic ilaj-allergy ka ilaj-Badan kharish khatam karne ke liye gharelu ilaj-Khujli Door Karne Ki Dua-khujli se hamesha ke liye nijat-kharish kam karne ka tarika-jism ki kharish khatam karne ke liye totka

Psoriasis Treatment, Causes and Best Remedial Solution

 

How To Get Rid Of Heat Rash Quickly, Baby Rash, Diaper Rash On Baby

 

How to Remove Ear Wax Blockage Fast, Kan Main Dard Ka Ilaj In Urdu

 

Badi Elaichi Ke Fayde, Elaichi Benefits And Side Effects In Urdu

 

Allergy Ka Ilaj, Skin Infection, Pollen Allergy, Face Allergy

 

Zukam Ka Fori Ilaj, Flu Allergy Ka Desi Ilaaj

 

Skin Allergy Treatment In Urdu | Allergy Ka Desi Aur Rohani ilaj

 

Nazla Zukam Ka ilaj In Urdu, Nazla Zukam Ka Fori Desi ilaj

 

How To Remove Wrinkles From Face Quickly, 7 Days Beauty Cure Plan

 

What To Eat In Winter To Keep Warm, Winter Foods List

 

Best Oils For Body Massage Therapy, Pain Relief & Blood Circulation

 

7 Effective Hand Exercises For Arthritis

 

How To Remove Hair From Face Permanently Naturally

 

Spread the love
About admin 2013 Articles
Please feel free to contact us or send your comments. [email protected]

Leave a Reply

Your email address will not be published.