Gharelo totkay nah sirf kayi bimario mein fori aur der pa aaraam dete hain balkay purani bemariyan bhi jarr se ukhaar phenkhte hain. Puranay waqton main khawateen choti mouti bimarion k ilaj ke liye gharelo totkay istemaal kya karti theen. Jo nah sirf sastay aur kaar amad hotay thay balkay sehat par bhi koi muzir asraat muratab nahi karte thay. Aj kal aksar log gharelo totkao pe zida tawajoo nai deta aur foren medicine use kar leta hain jo na sirf costly hoti hain balkey un k side effect b hota hain.
Nazla, zukam, khansi, sar dard aur pait dard jaisi choti mouti bimarion se aaraam ke liye bohat se mufeed aur sastay gharelo totkay yahan share kar raha houn aap in se zaror fida utahen. In gharelo totokon ko radd na karain aur aik baar zaror azmain. Agar logon ko in gharelo tokon ki afadiat ka pata chal jaye tu wo angrezi medicine ki bajaye bimarion ke ilaaj ke liye gharelo totkay istemaal Karen.
Gharelo totkay aur nuskhon ke fawaid ko mid nazar rakhtay hue yahan kuch gharelo totkay bataya ja rahain hain. Jin par amal kar ke aap kayi bimarion jase nazla zukam, khansi, pait aur sir dard, daant dard, gilaay ki kharaash, pishaab ki jalan waghera se fori nijaat haasil kar satke hain.
1 glass doodh ko ubal len aur 5 minute tak thanda honay den. Isske baad usay blender main daal kar is main 1 kacha anda, 1 chamach Cheeni aur 3 Choti alaichi ke danay daal kar malik shake bana len.
Raat sonay se pehlay garam garam piyen aur so jayen. Chand din ke istemaal se nazla zukam belkul tek ho jaye ga Insha Allah.
50 Gram Munaqqa aur 100 Gram Maghaz e Badam main, 100 Gram Cheeni mila k in sab ko bareek pees kar sufoof bana lain.
Rozana 1 Chamach khayen, chand din main har qisam ki khansi bilkul khatam ho jaye gi Insh allah.
Sar dard se nijat k lehy 7 Adad Kaali Mirchain taway par garam kar lain. Phir zara kareeb ja kar gahri saans lain sar dard foren khatam ho jaye ga.
Sar dard se nijaat ke liye aik totkay ye b ha k namak ki 1 Chuttki zabaan par rakh len aur 10 minute baad 1 glass thanda pani piyen, Sar dard furan khatam ho jaye ga. Ye totkay high blood pressure ke mareezon k lehe nuksan de ha is lehe wo ye totka istemaal nah Karen.
Kala Zeera, Lahsun, Kala Namak, Hing yani patkari, adrak, kaali mirch hum wazan lain aur lemoo ke ras ke sath maslain. Pir in ki 5 gram ki golian bana lain.
Rozana 2 golian khanay ke baad istemaal karen. Iss se gas aur tezabiyat ki shikayat daur ho jaye gi.
Agar pait kharab ho tu 1 Chamach Chaye ki patti pani k sath phaank lain, foran pait dard se aaraam aajay ga Insha Allah.
Dant dard se fori nijat ke liye amrood ke patte ubaal kar kaliyan karen. Dant dard ho to thoray se maithi ke danay pani mein ubaal kar kaliyan karen, dard khatam ho jaye ga.
1 chota sa piece phatkari aur 2 glass pani saaf bottle mein daal kar rakh lain. Dant dard aur masooro ki takleef se nijaat ke liye is pani se kaliyan Karen dant dard se nijat mil jaye ge.
High blood pressure ko control karne ke liye 1 glass pani main 7 Adad khushk Aalo Bukhray raat ko bigho kar rak dain. Subah is pani main Aalo Bukharon ko achi tara masal kar pani chhaan lain aur nehar mun piyen. Chand din isyi tara use karain high blood pressure normal ho jaye ga.
1 cup pani main 12 Adad Choti Alaichi khol kar dalain aur itna ubal lain ke pani aadha cup baqi reh jaye.
Din main kisi b waqt yeh pani piyen. Ye amal 2 haftay tak karain, Insha Allah high blood pressure se mukammal nijaat mil jaye gi.
1 Chamach Irani Gulab ka arq, adhay glass pani main dal kar nehar moun piyen, is nuskha ko 2 months tak musalsal istemaal karen. Is k sath 1 glass neem garam pani main 1 Chamach Saib ka Sirka daal kar piyen, yeh amal musalsal karne se sugar level normal hona shuru ho jaye ga. Betarin result hasil karney k lehe agar karely ya name k raas rozana piyen.
1 glass Bakri k Doodh dengue ke mareez ko har aik ghantay baad pilanay se pehlay hi din platelets ki tadaad 5000 se 80000 ho jati hai.
Dengue bukhar ke mareez ko agar din mein waqfay waqfay se ajwain aur podeenay ka qehwa pilaya jaye to bhi marz main jald afaqa ho jata hai.
Dengue bhkhar main chawal, moong ki daal, gajar, band gobhi, aanar, mosammi, angoor aur shaljam is marz mein bohat mufeed hain.
1 cup ghar ki bani hui dahi mein 1 chamach shehad (honey) aur 1 chamach Asphgol ka Chilka mila lain aur is ko achi terhan mix kar lain.
Subah Nehar moun khayen aur 1 ghantay baad nashta karen. 15 din tak musalsal istemal karne se khooni aur badi bawaseer khatam ho jayen gi.
Karele k paton k ras 2 Chammach subah aur 2 Chamach Shaam main piyeen to Insha Allah 7 din main tak musalsal istemaal se khooni bawaseer mukammal khatam ho jaye gi.
1 Chamach Multhi Powder main 1 chamach Shehad (honey) mila kar achi terhan mix kar lain. Rozana 1 Chamach nehar moun khayen, aik haftay ke musalsal istemaal se marz mein kami aana shuru ho jaye gi.
2 Chamach Kaali Masoor ki daal aur 1 Adad khushk kjhor ko 1 glass pani main bigho dain. Subah chhaan kar nehar moun pani pi lain. Is k sath sath Gajar aur Kinnu ka juice mila kar peenay se bhi chand hafton main yarqaan ka marz khatam ho jata hai.
Bimariyan Aur Gharelo Totkay In Urdu-Best Gharelo Tips Aur Totkay-Gharelo tips aur totkay -gharelo totkay Totkay in urdu-Gharelo totkay-gharelo totkay in urdu pdf-gharelo totkay in urdu for skin-best gharelo totkay-gharelo totkay for face urdu-pakistani gharelo totkay healthy tips-gharelo totkay for skin whitening-urdu totkay all-totkay in urdu for face-Yarkan Se Nijat K Lehy Gharelo Totkay- Khooni Bawaseer Se Nijat K Lehy Gharelo Totkay- Bawaseer Se Nijat K Lehy Gharelo Totkay- Dengue Bukhar Se Nijat K Lehy Gharelo Totkay- Sugar Control Karney K Lehe Totkay- High Blood Pressure Ko Control Karney K Lehe Totkay- Dant Dard Se Nijat K Lehy Gharelo Totkay- Pait Dard Aur Gas Se Nijat K Lehy Gharelo Totkay-Sar Dard Se Nijat K Lehy Gharelo Totkay- Nazla Zukam K Lehy Gharelo Totkay
Best 100 Natural Health Remedies alternative of Medicine In Urdu
Sonf Ke Fawaid – Saunf Ke Fayde – Health Benefits of Fennel Seeds
Kamar Dard Ka Ilaj Sirf 1 Din Mein Kamar Dard Say Nijat-Back Pain Home Remedies
Mun K Chalon ka ilaj-Munh kay Alsar ka ilaj- Maday K Ulcer Ka Ilaj
Bachon Ko Bhook Na Lagna Bhook Ki Kami Ka Ilaj In Urdu | Bhook Barhane Ka Desi Nuskha
Treatment for Allergies, Ear Pain In Urdu- Kaan K Dard Ka Ilaj
Kamzor Bachon Ko Mota Karne Ka Tariqa- Gain Weight Fast Tips In Urdu
Leave a Reply