Kamar Dard Ka Ilaj Back Pain Treatment- Kamar Dard Ka Desi Totkay

Kamar Dard Ka Ilaj In Urdu
Kamar Dard Ka Ilaj Back Pain Treatment- Kamar Dard Ka Desi Totkay

Ajkal aik bara masla kamar dard hai, taqreeban har 5 main se 3 mard o khawateen is maslay ka shikaar hain. Kamar dard ki sab se bari wajah munasib jismani mushaqqat nah karna ya pir bout zida jismani mushaqqat karna hain. Donu soortu main karmar dard k marz lahaq ho jata ha. Agar marz main shiddat aa jay to dard ziyada arsay ke liye rehti hai aur baz afraad taa hayaat kamar dard ke bimari ka shikaar ho satke hain.

Kamar Dard Ki Wahjohat

Kamar dard ki wahjohat main Burhapa, Jismani kamzoree, motapa, shadeed qabz, pait ke bal laytna, jhuk ke baithna, ziyada der jhuk kar kaam karna, bhaari wazan uthana, onche airee wali jotiyan pehnana, bone fracture, surgery aur khawateen ke khaas amraaz waghera kamar dard ki wajohat ho sakti hain.

Iske alawa kamar dard ki wajohat mein kamar ke azlaat ka kamzor hona, kamar main chout ka lagna, kamar ka operation ya surgery, aur tumors waghera ho sakti hain.

Kamar Dard K Desi Totkay

Kamar ke sath sath tangon, gardan, hathon aur deegar jismani aaza main dard shuru ho jata hai. Mareez aasani se jhuk, uth aur baith nahi sakta. Kamar dard ko mamooli dard nahi samajhana chahiye aur na hi is ke ilaaj main kotahi karni chahiye.

Gharelo totkay istmal karne se kamar dard se fori nijat mumkin ha. Is lehe ye bout zarori ha k kamar dard k fori ilaj kia jaye. Kamar dard control karne ke liye chand mufeed desi totkay batayi ja rahi hain, jin par amal kar ke aap kamar dard se kaafi had tak aaraam haasil kar satke hain.

Back Pain Home Remedies
  1. Driving seat aur kursi waghera par munasib aur durust tareeqa se betha jaye taakay kamar ke azlaat main koi khinchao waghera peda nah ho.

  2. Pait k bal hargiz na soyen kyunkay is teran sonay se kamar dard la-haq honay ka khatrah ziyada rehta hai.

  3. Vitamin aur Calcium se bharpoor qudrati ghzaon ka istemaal karen.

  4. Subah saverey munasib warzish aur halki phulki chehal qadmi zaroor ki jaye taakay kamar ke azlaat ki lachak aur tandrusti bahaal rakhi ja sakay.

  5. Bhaari cheezain aur wazan uthany se parhaiz karen kyun kay istarah kamar par boojh parney se dard barhta hai.

In tips k sath sath aap kamar dard se nijaat ke liye gharelo totkay bhi aazma sakti hain.

Aloo Bukare Se Kamar Dard Ka Ilaj

Kamar dard se nijat ke liye 5 Adad khushk Aloo Bukhare, 1 Adad Khushk Injeer aur 1 Adad khushk khobani ko achi tara koot lain, aur rozana din main 2 martaba kah lain. Is k  khanay se har qisam ka kamar dard mukammal tor par khatam ho jata hai.

Adrak Se Kamar Dard Ka Ilaj

Adrak ka 1 piece lain, usay koot kar uskay paste se jis jagah dard ho wahan 5 minute tak maalish karne se kamar dard main aram milta hai. Adrak ki chaye bhi kamaar dard se nijat k lehe bout moufeed ha. Rozana 1 cup adrak ki chaye bana k pee lain.

Tulsi Ke Patton Se Kamar Dard Ka Ilaj

Tulsi k 10 pattay 1 cup pani main ublain yahan tak ke pani aadha cup reh jaye. Thanda hone par is main 1 chutki Namak shaamil kar ke dard wali jagah par din main 2 martaba maalish Karen.

Khashkhash Se Kamar Dard Ka Ilaj

Khashkhash aur mishri ka safoof bananay ke liye 100 gram khashkhaash aur 100 gram mishrii pees lain. Rozana 2 chamach doodh ke sath istemaal Karen. Insha Allah bout jald kamar ka dard katam ho jaye ga.

Kamar Dard Ka Ilaj Back Pain Treatment in urdu

Kamar Dard Ka Ilaj Back Pain Treatment in urdu

Kamar Dard Ka Fori Ilaj

Kamar Dard Ka Fori Ilaj

Kamar Dard Ka Ilaj Back Pain Treatment

Kamar Dard Ka Ilaj Back Pain Treatment

Kamar Dard Desi Aur Rohani ilaj

Kamar Dard Desi Aur Rohani ilaj

کمر درد کی وجوہات اور علاج

کمر درد کا مسئلہ آج کل بہت عام ہوتا جا رہا ہے۔ کمر درد زیادہ تر ان لوگوں کو ہوتا ہے جن کا وزن بہت زیادہ ہوتا ہے یا پھر وہ لوگ اس کا زیادہ شکار ہوتے ہیں جو روز مرہ زیادہ وزن اٹھاتے ہیں ۔ اکثر وہ لوگ بھی کمر درد کا شکار نظر آتے ہیں جو زیادہ دیر تک بیٹھ کے کام کرتے ہیں۔ کمر درد میں کمر کے عضلات کمزور ہو جاتے ہیں چلنے پھرنے سے درد ہوتا ہے۔

کمر درد کے ساتھ ساتھ ٹانگوں میں بھی درد شروع ہو جاتا ہے۔ مریض کو ہر وقت بے چینی محسوس ہوتی ہے۔ مریض آسانی سے جھک نہیں سکتا، زیادہ دیر تک کھڑا نہیں رہ سکتا۔کرسی پر غلط انداز سے بیٹھنا ، کسی چوٹ کا لگنا، پیٹ کی مختلف بیماریاں جیسے کہ قبض، بواسیر وغیرہ بھی کمر درد کی وجوہات میں شامل ہیں۔

اگر آپ کمر درد سے بچنا چاہتے ہیں تو ایسی کرسی کا انتخاب کریں جس کی نشت اور کمر ٹکانے کی جگہ سیدھی ہو۔ جب کرسی پر بیٹھے ہوں تو فرش پر آپ کے پاوں زمین کے بالکل برابر ہونے چاہیں۔ ایک ہی پوزیشن میں 30منٹ سے زیادہ دیر تک بیٹھنے سے گریز کریں۔

Search Meta Tags

Kamar Dard Ka Ilaj In Urdu-Kamar Dard Ka Ilaj Tib E Nabvi-Kamar Dard Ka Fori Ilaj-Kamar Dard Ke Totke-Desi Totkay Kamar Dard-Kamar Dard Ki Wajuhaat-Kamar Dard Exercise-Kamer Derd Ke Liye Nuskha – Kamar Dard Ka Desi ilaj-Women Back Pain In Urdu-Sir 1 Din Mein Kamar Dard Say Nijat-Back Pain Home Remedies-Kamar Dard Ka Ilaj Back Pain Treatment in urdu-Kamar Dard Ka Ilaj-Kamar Dard Ka Fori Ilaj-Back Pain- Khashkhash Se Kamar Dard Ka Ilaj- Tulsi Ke Patton Se Kamar Dard Ka Ilaj- Adrak Se Kamar Dard Ka Ilaj- Aloo Bukare Se Kamar Dard Ka Ilaj

 

Kamar Dard Ka Ilaj Sirf 1 Din Mein Kamar Dard Say Nijat-Back Pain Home Remedies

 

Joron Ke Dard Ka Ilaj Joint Pain Treatment In Urdu

 

Gout Joint Pain Treatment- Uric Acid- Joron ka Dard

 

Joron k dard ka ilaj, pathon ki kamzori ka ilaj In Urdu, Joints Pain Treatment

 

Kamar ka Dard – Backache – Back Pain

 

Remove Magic and Nazar-e-Baad In Islam

 

Adrak Ke Faide – Ginger Benefits

 

How to Use Ginger for Back Pain Relief

 

Sonf Ke Fawaid – Saunf Ke Fayde – Health Benefits of Fennel Seeds

 

Spread the love
About admin 2019 Articles
Please feel free to contact us or send your comments. itechnhealth@gmail.com

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.