Medical science mein dil ke left ventricle ke sukarnay par jo dabao parta hai usay systolic pressure kehte hain aur batan ke poori terhan sukarnay ke baad dobarah apni asli haalat mein wapas atay waqt sharianon par jo dabao parta hai usay diastolic pressure kehte hain.
Blood Pressure jab 70/ 90 aur Uper ka 110 / 130 ke darmiyan ho to blood pressure narm tasawwur kya jata hai, Jab kisi insan ka blood pressure 80 / 120 se kam ho jaye tu usay low blood pressure kehte hain. Low blood pressure ke marz main insani jism main khoon ke dabao main kami waqay ho jati hai, jo baaz auqaat mout ka sabab bhi ban sakti hai.
Low Blood Pressure ki wajah se insane dimag ki taraf khoon ki rasad kam honay lagti hai jis ki waja se dimagh ko oxygen ki miqdaar main ta-attul peda hota hai. Agar insani dimag ko khuch second tak oxygen ki farahmi moattal ho jaye to insani dimagh murda ho jata hai aur yun poora jism hi mout ke mun mein chala jata hai.
Blood pressure low hone ke bohut si wajohat ho sakti hain jin main se kuch ye hain.
-
Aurton main Haiz ki zayad-ti ke sabab jism se khoon ka ziyada ikhraj, accident, zakham ya operation ke nateejay main jism se bohat ziyada khoon niklana, dast ya qay ki zayad-ti, jism main pani ki kami hona, nuqs taghzia, jism mein vitamin aur namkiyat ki kami, gharelo uljhanein, pareshaaniya aur tfkrat waghera ho sakti hain.
-
Mardon main low blood pressure ki wajohat main sab se eham Pasina ka jyada aana, jism main pani ki kami, jismani kamzoree, accident ya chout lagnay ke sabab jism se khoon ka bohat ziyada nikal jana, nasha aawar adwiyaat ka istemaal, pareshani ya zehni dabao waghera ho sakti hain.
Sir dard, aankhon ke ahge andher chhaa jana, matli ya qay hona, neend main kami, be cheeni, be qarari, kaam kaaj karte hue jald thak jana, seenay ya chhaati mein dard, hathon aur peeron ka sun ho jana, pishaab ka baar baar ya ruk kar aana waghera low blood pressure ki alamaat ho sakti hain.
-
Vitamin aur iron se bharpoor ghazain khayen, gosht, anda, kaleji, chiknai, tali hui ghazaio, makhan, ghee, paneer balai mila doodh aur bakery masnoaat aur energy drinks waghera khanay se mukammal parhaiz karen.
-
Apni roz maraah khoraak main taaza phal aur sabzian maslan pyaaz, chakandar, salad laazmi istemaal karen. Din main kam az kam 8 glass pani piyen taakay jism mein pani ki kami nah honay paye.
-
Sodium ka istemaal bhi kam se kam kya jaye kyunkay yeh khoon ki sharianon ko sakht aur tang karne ke ilawa high blood pressure ka sabab bhi bantaa hai.
-
Nasha awar adwiyat aur cigarette ka istemaal hargiz nah Karen.
-
Subah ki walk aur halki phulki werzish ko mamool bana lain.
Low blood pressure ke liye betaye gaye totkay natural ajzaa par mushtamil hain aur yeh app ke sehat ko koi nuqsaan nahi pohanchayen ge. Blood pressure ko control karney k lehe medicine use karney ki bachay natural method zida helpful hain aur in ka koi side effect b nai hota.
1 Cup garam pani main 1 lemon ka ras, 2 chamach shehad (honey) mila lain. In sab chezon ko achi terha mix kar k pee lain. Insha Allah low blood pressure normal ho jaye ga.
1 Chamach Lahsun(Garlic) ke ras ko 1 chamach shehad (Honey) main mila kar khanay se chand din main low blood pressure normal ho jata hai.
1 Chamach Shehad (Honey) ko 1 glass neem garam doodh mein mila kar rozana raat ko sonay se pehlay piyen. Iss se aap ka blood pressure b normal rahay ga aur aap sehat mand rahen ge.
250 Gram khushk dhaniya aur 250 Gram Saunf le kar un ko achi tara pees lain. Is safoof ka 1 Chamach subah kali pait pani ke sath khayen aur 30 minutes k baad nashta kar lain, phir raat ke khanay se 30 minutes pehlay 1 Chamach khayen. Low blood pressure normal ho jaye ga aur kabi b low nai ho ga.
1 cup milk, aadha cup pani, khushk dhania 1 chamach, Haldi 1 chamach, adrak powder 1 chuttki, 2 Chamach Cheeni (sugar) aur 1 chuttki alaichi powder daal kar achi terha ubaal lain, is ko chhaan len aur garam garam hi pi jayen.
انسانی جسم میں دماغ سے لے کر پاوں تک خون کی چھوٹی بڑی شریانوں کا ایک جال سا بچھا ہوتا ہے۔ جن میں ہر وقت ایک خاص رفتار سے خون گردش کرتا رہتا ہےاگر خون کا بہاو نارمل رہے تو انسان صحت مند رہتا ہے لیکن اگر خون کی روانی میں تیزی یا سستی آ جائے تو انسانی جسم میں بلڈ پریشر نارمل نہیں رہتا۔
بلڈ پریشر کی دو اقسام ہیں۔ ہائی بلڈ پریشر اور لو بلڈ پریشرجب بلڈ پریشر 90/130کی رینچ سے زیادہ ہو تو اس کو ہائی بلڈ پریشر کہتے ہیں اور جب بلڈ پریشر 90/130 کی رینج سے کم ہو تو اسے لو بلڈ پریشر کہتے ہیں۔ ہائی بلڈ پریشر اور لو بلڈ پریشر عام طور پر استعمال کی جانے والی اصلاحات ہیں حقیقت میں ڈاکٹر ز ان کے کے مخوض اصطلات استعمال کرتے ہیں۔
لو بلڈ پریشر بذات خود کوئی بیماری نہیں بلکہ یہ کسی مخصوص بیماری کی علامت ہوتی ہے۔ عموما موٹاپے کے شکار افراد کا بلڈ پریشر لو ہوتا ہے۔ مختلف میڈیسن بھی بلڈ پریشر کا باعث بنتی ہیں۔لو بلڈ پریشر کی صورت میں جسم میں سستی اور کمزوری محسوس ہوتی ہے۔ اس کے ساتھ متلی اور بے چینی کی کیفت بھی ہوتی ہے۔ تھکاوٹ اور گھبراہٹ کا احساس ، ہلکا سر درد اور آنکھوں کے سامنے اندھیرا چھا جاتا ہے۔
لو بلڈ پریشر والوں کو چاہیے کہ دن میں کم ازکم 8سے 10گلاس پانی پئیں۔ ہر چار ، پانچ گھنٹوں کے بعدکچھ نہ کچھ ہلکی پھلکی غذا کھائیں۔ خشک میوہ جات مثلا بادام، پستہ وغیرہ کا استعمال کریں۔ ایک جگہ زیاہ دیر کھڑے نہ رہیں ، سو کر اٹھنے پر ایک دم سے کھڑے نہ ہوں بلکہ کچھ دیر رک کر آرام کر کے اٹھیں۔ نمک اور لیموں کی شکنجین بنا کر پئیں۔ لو بلڈ پریشر کا آسان ترین حل یہ ہے کہ سادہ پانی میں تھوڑا سا نمک ڈال کر پئیں۔
Low Blood Pressure Ka Desi Ilaj- Low Blood Pressure Ko Control Karney K Tariqe- Tips To Control Low Blood Pressure- Low Blood Pressure Control Karney Ke Liye Totkay- Low Blood Pressure Ka Ilaj- Low Blood Pressure Ki Wajohat- Low Blood Pressure Ki Alamaat- Tips To Control Low Blood Pressure– Low Blood Pressure Ke Liye Gharelo Totkay- Use of Lemon To Control Low Blood Pressure – Use of Haldi To Control Low Blood Pressure- Use of Sounf To Control Low Blood Pressure- Use of Sounf To Control Low Blood Pressure
Bimariyan Aur Gharelo Totkay In Urdu-Best Gharelo Tips Aur Totkay
How to Improve Your Memory 10 Tips To Improve Memory Power In Urdu
Natural Beauty Tips for Face Whitening in Urdu & English- Beauty Tips Urdu Mein
Leave a Reply