Likoria k barai main aap ne zaroor suna ho ga lekin zida tar logon ko nahi pata hota k yeh kya hai aur is se kya hota hai? Is ka kya ilaj hai? Iss article main hum apko batain gy k yeh bemari khuain hoti ha aur is ka asan Gharelu Ilaj kya ha.
Likoria aik bemari hai jo aurton main pai jati hai. Is behmari main aurton k vagina se thick aur safed rang ka mada discharge hota rehta hai. Likoria k discharge se aksr bad smell b ati hai jo uncomfortable hoti hai aur bechani ka sabab bantai ha.
Likoria ki bout se wajaohat ho sakti hain jasa k jism main hormones ka balance disturb ho jaye tu ye bemari ho sakti hai. Agr jism main estrogen jo k aik female hormone hai uski quantity zyada ho jaye to uski wja se b likoria zida discharge hota hai. Is ki aik aur bari waja ye b ho sakti hai k vagina k area main koi infection hu jaye to white ya yellow colour ka mada jism se zyada miqdar main discharge hota hai.
1. Amla ki root le kar usko paani main 8 Hours k liye bhigo dain.
2. Sone se pehle amla ko paani mai daal dain r subha uth k paani pee lain.
3. Roz asa karne se kuch hi dino main farak mehsoos ho ga.
1. Amaranth ki roots ko paani pe daal k pee lain.
2. Raat ko Amaranth ki root ko paani main mila k rkh dain.
3. Suba Nehar moun ye paani pee lain.
4. Khuch din tak ye amal karney se fark mehsoos ho ga.
5. Agr nehar moun nai pee sakta tu paani boil kar k aus main amaranth daal lain to usko thnda kr k peya jaa skta hai ye aml din main 2 dafa karma ha.
1. Tori se Haldi lain aur aus main Lehsan mix kar lain.
2. Achi tara mix kar k paste bana lain.
3. Is past ka aik chamach subha aurr aik chamach sham ko kha lain.
4. Taste behtar krne k liye is main honey b mila saktain hain.
5. Rozana istimal se foran hi farak par jaye ga.
Rozana pani aur apple cider vinegar ki equal miqdar mix kar k is se vagina ko wash kr lain. Ya aik cup paani main aik tablespoon apple cider vinegar mila k pee lain.
Raat ko sone se pehle Fenugreek seeds pani main mila k rak dain. Subha nehar moun ye pani pee lain. Agar nehar moun nai pee saktay tu inko 30 minute tk boil hone de phir thnda kr k paani pee lain ye amal din main 2 dafa karma ha.
Amla ko paanii main mila k sari raat rkhain aur subha ye paani pee lain.
Rozana Amaranth ka Istemal karney se likori control ho sakta ha.
Din main 1 ya 2 banana kha lene se b likoria se nijat hasil hasal ke ja sakti hai.
Rozana Figs ka Istemal Karen se b likori ko control kia ja sakta ha.
Lady finger yani Okra ko cut kar k sari raat k lehe rak dain aur soba is ko paani main boil kar lain. Is mixture ko honey k sath roz pee lain tu likori jald katam ho jaye ga.
Pomegranate yani Annar ka juice pee ne se b ye behmari katam ho jati ha.
Saffron Ko kha lain ya dhood main mila k pee lain tu b likori katam ho jata ha.
Corriander seeds ko pani main mila k paani ko boil krain. Is Paani ko khuch dair tak thnda hone dein aur pir ye pani pee lain. Agr taste acha nahi lagta to is mixture main aik chamach honey mila lain.
Koi b medicated soap Doctor se likhwa lain aur din main 2 se 3 bar paani k sath us soap se vaginal area ko achi tara wash karain. Ache aur comfortable stuff se bnai huai undergarments use krain ta k vaginal area main infection na ho. Is ke elawa in tips par zaroor amal karain ta k aap k hormones ka balance khraab na ho. Harmones ki karabi k waja se likoria k hone k chances zyada ho jate hain.
1. Apni diet main fruits aur vegetables ka zyada se zyada istimal rkhain.
2. Junk food aur cola drinks kam se kam use karain.
3. Gahar main bana hua khana kayain. Bazari chatpatay kano se parez karian.
4. Coffee aur Tea ka istimal bilkul na karain.
5. Zyada se zyada paani peean taa k likoria se bacha jaa ske.
Likoria bout katarnak bemari nahi hai liken is ka ilaj zarori ha nai tu is se jism main kamzori k satah sath chirchra pan main izafa hota ha kisi kam main jee nai lagta. Pregnancy ki halat main yeh nuskay use krne se pehle doctor se zaror mashwara karain khuain k Dr. aap ki physical situation betar jan sakta hain.
Likoria ka asan ilaj-likoria ka nuskha-likoria treatment-beauty tips-likoria ka gharelu ilaj-Safaid Pani Likoria Ka Ilaj-Likoria Ko Control Karne Ka Asan Tariqa-likoria ka ilaj-likoria ka nuskha-likoria-aurton kei bemariyan aura un ka ilaj- Tips To Get Rid From Likoria- Likoria Treatment At Home- Likoria Ka Gharelu Ilaj- Likoria Ka Haldi Se Ilaj- Likoria Ka Amla Ki Root Se Ilaj- Likoria Ka Amaranth Ki Roots Se Ilaj- Likoria Ka Haldi Se Ilaj
Beauty Tips For Face At Home In Urdu, Glowing Skin, Face Whitening
Face Beauty Tips For Girls, Beauty Tips for Acne and Pimples in Urdu
Natural Beauty Tips for Face Whitening in Urdu & English- Beauty Tips Urdu Mein
Leave a Reply