Home Remedy For Neck Pain Treatment In Urdu- Gardan Main Dard Ka ilaj

Home Remedy For Neck Pain Treatment In Urdu- Gardan Main Dard Ka ilaj

Gardan ki nasso mein khichav padne ke waja se garden main dard hone lagta hai. Is ki bari waji sone ke galat tarike hain, sootay waqat bout zida uncha billow na istamal Karen is se garden ka dard zida hota ha. Gardan ka dard agar 1-2 din ho tu wo kod he tek ho jata ha lekan agar garden ka dard 1 hafte tak tek na ho tu aus ka ilaj karwana zarori hota ha. Is post main kuch asan garilo ilaj bataya gain hain. Doctor k pass janey se pehle aap in ko azma saktain hain.

Gardan Dard Ka ilaj

Gardan dard ka ilaj dard ki noiyat k inhasar dard paida karne wali waja par hota ha. Ilaj main sakon se aram karna, garm chezon se tokor karna aur physiotherapy main ultrasonic, massage, garden ke pathon ki exercise, injection, pain killer tablets, dard khatam karne ki cream shamil hain.

Zatoon K Tel Se Malish

Tora sa zatoon ka Tel lain. Is ko halka garam kar lain. Is Tel se apni garden ki malish karan. Is k bad 1 towel ko garam paani main bhigo kar rak dain aur pir is towel ko 10 minute tak garden par rakh dain. Ahsa karney se garden dard main bout aram mile ga.

Adrak Ki Chay

Gardan main dard se chotkary k lehe Adrak ki Chay b bout mofid ha. 1 Cup garam chay main 1 chamach adrak ka paist dall kar piye is se dard main foran aaram milega.

Ajwaine Se Gardan Dard Ka ilaj

Ajwanine ko 1 potali main baandh kar taave par garam karain, pir is potali se garden ki tokor (sikayi) karain dard dur ho jayega.

Methi Se Gardan Dard Ka ilaj

Methi ke daano ko paani main pees kar leep bana le aur din main 2-3 baar garden par laganae se garden pain dur hota ha.

Gardan Main Dard Ki Reason

Gardan main dard ki waja janna behad zarori hai. Gardan main dard ki aik waja accident ho sakte ha. Gardan ko kisi aik janib zida dair tak rakney se b garden main dard ho sakta ha. Garden main kisi androni banawat main tabdeeli ki waja se garden main takleef ho jati ha. Gardan main dard ki asal waja janne ke liye kuch tibi test zarori the hain ta ken euro surgen sahi tashkhish kar sake, Gardan ke Xray Nasso aur Pathon ke amraz ka test, hadiyon ka test MRI, Bone Scan.

Traffic hadsat ki sorat main aksar garden main shaded jhatke ki waja se chot ajati hai jis se naso aur pathon ko nuksan puhnchne ke ilawa baaz aukat maihron ki hadiyan apni jaga chor daiti hain is se b garden main dard peda ho sakta ha.

40 Sal ki umar ke bad hadiyon main madniyat aur nimkiyat ki kami hone lagti hai jis main eham taren Calcium hai. Hadi ka goda aur sath kamzor hojane se b garden main dard shour ho jata ha.

Useful Advice For Relief in Neck Pain

  • Gardan ko ek hi taraf mor kar maat soun.

  • Bari wazan na utan.

  • Lagatar garden jhkaye koi kaam na karain, aik hi position main garden ko jhuka kar kam karany se garden main dard pada hota ha. Thori dair ke bad postion tabdeel kar lain ta ke garden ko aram mil sake.

  • Sakhat aur unchay foam ka takiya har giz istamal na karain balke narm aur 3 inch mota takiya istamal karain.

  • Kafi dair tak computer chair pe na betheyain. Computer k lehe asi chair ka intekab karain jis ki pashat aap ki garden ke barabar ho ta ke aap kuch wakfe ke liye garden ko is par take kar aram kar sakian.

  • Likhne aur parhne k liye unchi table ka intakhab karian ta ke aap ki garden sedhi rahe aur aap asani se kam kar sakain.

  • Son eke liye unchhe takiyo ka isteemaal na karean.

  • Gardan main dard ki asal waja janany k lehe kuch test zaroor karain jas k Xray, Bone Scan and MRI.

  • Painkillers b garden dard main aram de sakte hain.

Neck pain treatment in urdu- garden main dard ka ilaj – garden ke dark ka wazifa-neck pain spiritual treatment in urdu- Relief in Neck Pain- Symptoms of Neck Pain- Home Remedy For Neck Pain Treatment In Urdu- Gardan Main Dard Ka ilaj- Useful Advice For Relief in Neck Pain- Gardan Main Dard Ki Reason

DOWNLOAD LINK

Ashobe-e-Chasham Ka Ilaaj Aur Aankon Ki Bemarion K Lehe Wazifa

How to Naturally Lose Belly Fat in a Week

How to Get Rid of Gingivitis

Hath Paon ki Jalan ka ilaj In Urdu

Yarkan ka Desi Aur Rohani Ilaj in Urdu

Teeth Whitening Tips In Urdu

Food Poisoning Home Remedies and Natural Cure

Mitti Se ilaj Aur Multani Mitti Ka Mask

How To Cure High Blood Pressure And Cholesterol Forever

How to Use Ginger for Back Pain Relief

How to Remove Unwanted Hair Permanently Home remedy

Gout Joint Pain Treatment- Uric Acid- Joron ka Dard

How To Get Rid Of Lizards In Your House

 

 

Spread the love
About admin 2015 Articles
Please feel free to contact us or send your comments. [email protected]

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.